****************Introduction*****************
Waleed aur Maha,meri pehli tehreer hai,aik farzi kahani hai.Is kahani ka kisi ki zindagi se koi link nahi hai.Is ke kerdar
(Characters) farzi hain,kisi ka kisi ke saath koi relation nahi hai.Ye kahani,is ke characters,is ke dialouges
meri takhleeq hain.
Baqaida likhna kab shuru kiya,yaad nahi,albat'ta jab mai ne shairi kerni choori,tab zehan mein is ki kahani
banti gayi,to soocha kyon na isey zehan mein hi mehfooz rakhney ke bajaye,kagaz pe mehfooz ker liya jaye.
to mai ne isey baqaida tehreeri shakal de di.
Sab se pehla masla,jo aksar shuru shuru mein likhney walon ko hota hai,woh hai naam,title novel ka.To bhut
soochney ke baad mai ne Waleed aur Maha ka title select kiya.
Is ke baad characters ke naam,is mein jitney bhi characters hain,un ke naam sab farzi hain aur merey
pasandeeda hain,is mein koi mushkil nahi howi mujhay.
Phir is ke dialouges.kahin kahin pe dialouges likhtey howey,meri ankhon mein bhi ansoo aa gay thay,to dil
aur mood thora upset hojata tha,to likhna chor deti thi,thora relax hoti phir likhna shuru kerti.
Bhut kam characters hain,to aap sab ko perhney mein bhi easy rehay ga.
Is mein,mohabbat hai,rishtey hain,nafrat hai,romance hai,love hai.
aap sab perhye aur comments dijye,tareef kijye,tanqeed kijye aur perhney ke baad jo dil mein pehli baat aay
woh bataye.
kyon ke aap sab ki tareef,tanqeed aur comments se hi mujhay andaza hoga keh mai ne kiya likha hai aur mujhay
aur behter kis terha kerna hai.
aik saath post nahi ker sakhti,is liye roz thora thora ker ke continue karon gi,
aur saath saath jo aap sab comments ya reply kerain gay to acha bhi lagay ga.
aap ke comments,tareef aur tanqeed ka intezar rehay ga.Perhye aur batatey jayain kaisa lag raha hai.
Waleed aur Maha.
********************Waleed aur Maha************
Humaisha ki terha woh kitchen mein kaam mein masroof thi,keh usay apna naam sunayi diya,
woh bahar janey lagi per ruk gayi keh usay Tayi ji ke bhut wazeh alfaaz sunayi diye,
"Poocho ja ke us se,keh mera beta kahan hai,jab se ye dono bhai behan is ghar mein aay hain,
tab se kuch na kuch ghalat ho raha hai"
"Amma, Faraz ko kyon keh rahi hain"
"Aray wah ,usay kyon na kahoon,tumhara mangetar hai to kiya howa,kahin ka maharaja nahi hai,tumharay
baap ke hi paisey luta raha hai"
"Amma,ahista bolein chaand sunn legi"
"Mai nahi darti,sunti hai to sunn le,mera ghar hai ye,aur jao ja ke us se poocho,keh mera beta kahan
hai"
"aap to aisey keh rahi hain,jaisey chaand ne aap ke betay ko agwah ker liya hai aur mai ja ke poochon
keh batao meray bhai ko kahan chupaa rakha hai"
woh jo apney ansoo rokney ki nakaam koshish ker rahi thi,ye sunn ke us ke chehrey pe muskurahat aagayi
"ye lerki kabhi nahi sudhrey gi"
*******************************************
Kabhi iss ghar kabhi uss ghar,ye dono bhai behan derbadar hotey rehay.Maha Inter ker rahi thi,jab ma,baap
ka saath choot gaya.Faraz us waqt matric mein tha.Maha ne apni taleem chor di,aur aik school mein
perhanay lagi.Tankhwa kam thi,lekin us ki majboori thi keh aaj kal graduate ko job nahi milti ye to
phir bhi matric pass thi,ganeemat tha keh job mil gayi,keh usay Faraz ko perhana tha,us ki khwashish ko poora
kerna tha,woh aik bhut acha doctor ban'na chahta tha,aur ye tabhi mumkin tha keh maha apni khwashishon ko daba
ke apney bhai ki khwashishon ko poora karey.Us ne faraz ko kisi cheez ki kami mehsoos nahi honey di.usay
ma,baap,behan aur aik achay dost ka payar diya.Zindagi isi terha guzer rahi thi keh aik din
Taya ji,nani ke ghar undono ko leney aye,apney saath,apney ghar le jaaney ke liye.Taya ji keh do bachay,
bara beta waleed aur beti seema.seema se maha ki dosti jald hi hogayi,per waleed sirf apney kaam se kaam rakhta,
usay koi garz nahi,kon aa raha hai,kon ja raha hai,ghar mein kiya ho raha hai,kiya nahi.faraz aur seema
ghulmil gaye aur in dono ki nok jhonk,poorey ghar mein zindagi bakhair deti hai.
*************************************************************
Phir aik din,khaney ki maiz pe Taya ji ne apna faisla sunaya.
"aaj se aik haftey baad faraz aur seema ki mangni hai aur..."
"per baba..."
Maha,meri baat abhi khatam nahi howi"
"sorry baba."
"mai keh raha tha ,faraz aur seema ki mangni ke do din baad waleed aur maha ki mangni hai..."
usi waqt waleed gussay se uth ke jaaney lagta hai
"baith jao waleed,meri poori baat sunn lo"
"Mera ye faisla atal hai,aur is faisley mein mai ne kisi ko shamil nahi kiya hai,isi liye,ager..."
"ji ji,aap kyon shamil kerney lagay apney faisley mein kisi ko,meri koi haisiyat hi nahi hai,jab se ye dono is ghar mein aaye hain
aap ne kisi ka bhi sun'na chor diya hai,per meri bhi aik baat sunn lein faraz aur seema ka rishta mujhay manzoor hai lekin ye,mai isey
apney ghar ki bahoo nahi banao gi,ager aap apney faisley pe atal hain to mera faisla bhi.."
Tayi ji,ko apney shohar ka faisla pasand nahi aya,aik to unho ne kisi se mashwara nahi liya aur dosra woh maha ko kisi bhi soorat
apni bahoo nahi bana'na chahtin,isi liye unho ne,apney shohar aslam ki baat khater mein laye bagair apna faisla suna diya,lekin Taya ji
ye sab sunn ke gussay mein aa gay
"bas rukhsana...."
woh itni zor se dharey keh tayi ji to tayi ji,maiz pe baithay,sarey nafoos ko bhi saanp soongh gaya.
"mera ye faisla atal hai,ager meray is faisley pe kisi ko aiteraz hai to woh abhi aur isi waqt ye ghar chor ke ja sakhta hai"
taya ji apna faisla sunna ke chaley jatey hain,isi terha waleed faraz aur seema bhi,lekin,maha apni jagah sun si baithi reh gayi aur yehi kaifyat tayi ji ki bhi thi.us ne pheli baar baba ko itney gussay mein dekha,aur woh ye samjhney se kasir hai keh unho ne ye faisla kyon
kiya,woh bhi ghar ke kisi fard se bagair poochay.woh din aur aaj ka din,tayi ji ne kabhi pyar se baat kerna to door ki baat,kabhi maha ko
seema ki terha nahi samjha.
faraz shuru se hi seema se mohabat kerta tha,per maha na jaan saki,aur baba ne faisla bhi ker diya.woh dono khush thay.aur us din ke
baad se maha ke dil mein waleed ke liye aik khaas jaga ban gayi,ye jaaney bagair ke waleed ke dil mein us ke liye siwaye nafrat ke
aur kuch bhi nahi,woh usay nazer bhar ke dekhna to door ki baat is ghar mein us ka wajood bardasht nahi ker sakhta,lekin woh ye sab
waleed ki mohabat samjhti rahi,jo sirf aur sirf uski nafrat hai.
aur aaj jab woh us ke kamrey mein nashta deney gayi,to us ne gussay mein tray phaink di aur office ke liye chala gaya,aab raat hogayi per waleed abhi tak ghar nahi aya,jo giyara bajey tak aa jaya kerta tha,us ne aik baja diye,isi liye tayi ji ke tanz-o-taaney ki zad mein woh thi.
seema ko ander aatey dekh ke woh apney kaam mein masroof hogayi.
"kiya howa?"
"idher dekho zara,ye ghar dekha hai?"
"hmm dekha hai kyon?"
"ye na hi haweli numa hai aur na hi mehal jo aap ko sehan mein kharey do logon ki guftugu sunayi na de,aur suno,zara apni shakal to dikhao"
"haan bolo"
"royi ho tum??''
"nahi seema aisa kuch nahi hai."
"iam sorry yaar amma kabhi kabhi"
"seema kiya hogaya hai,mai ne kaha na kuch nahi howa,aur woh ma hain.amma humari bhalayi ke liye hi kehti hain,jo kehti hain"
"bhalayi!!!!ye khana banaya hai,na namak hai na mirch,bibi ager khana bana'na nahi ata to kitchen ka rukh kerney ki zaroorat nahi,
aab ye sara khana phainkney mein jaye ga,bhalayi!!!! mujhay batao tum is mein tumhay kahan se bhalayi nazer aati hai?"
"seema,jaisa bhi hai,woh mujhay jo bhi kehti hain,per pait bhar ke khana to kha leti hain na,bhooka to nahi soteen"
"tum!!!!!!!!uffff!!!khudaya,mera ji kerta hai,tumhay jaan se maar doon"
maha apni muskurahat chuppa ke us se kehti hai
"to maar do na,acha hai jaan chootey gi sab ki"
"Chaand,baako mat,jao mai nahi bolti"
"aray,aray,acha mai nahi kehti kuch,please maan jao warna faraz mujh se kehay ga,aisa kiya kaha hai aap ne meri jaan se jo,
woh naraz hogayi hai"
"Chaand!!!!"
"oye hoye,kiya baat hai,merey samney to sharam aa gayi tumhay,us ke naam pe,aur jab woh ata hai to barey da'ant nikaltey hain,
us ke samney sharam kahan chali jati hai"
"chooley mein"
"batameez na ho to"
dono aisey hi hansi mazak ker rehay thay keh seema ne ik dum se poocha.
"Chaand,subah kiya howa tha?"
**********************************************************
Woh counter pe se saman samait ke,seema ke pass aa ke baith jati hai
"subah?"
woh seema ki taraf dekh ke kuch soochti hai,phir batati hai
"mai nashta deney gayi thi,woh office janey ke liye tayar ho rehay thay,mujhay dekh ke
unho ne tray utha ke phainkh di aur office ke liye chaley gay bas."
"bas!aur tum isey bhi waleed bhai ka ishq samjhin."
"ishq nahi mohabat" maha ne muskura ke kaha.
"haan wohi,tumhay hazar dafa samjhaya hai chaand,tum samjhti kyon nahi keh woh tum se nahi saima se pyar
kertey hain."
"mai kaisey yaqeen ker loon,woh meri zindagi hain,aur mai apni zindagi pe shak nahi ker sakhti,
meri mohabat kamzoor nahi."
"ager tumhari zindagi hi tum se keh de keh..."
"seema please"
"chaand kal tumhari zindagi ka bhut khoobsurat din hai,waleed bhai ager aaj nahi aay to kal bhi nahi aayain gay,
aur ye sab unki ghalati hai jo baithay intezaar ker rehay hain."
seema ne zich hoke kaha aur khari hogayi,usay uthtay howey dekh ke maha bhi khari hojati hai,usay seema ki shakal
dekh ke hi andaza hojata hai keh woh kuch aisa kerney ja rahi hai jo ghar mein toofan la sakhta hai.
"seema,tum kiya kerney ja rahi ho?"
"sach bataney."
seema ko jata dekh ke us key osaan khata honey lagtey hain.
"seema,ruko meri baat to suno."
"yeh lerki kahin kuch ziyada hi sach na bol de."
woh isi paraishan kun halat mein khari thi keh peechay se kisi ne usay salam kiya aur woh dar gayi.
"assalam-o-alykum"
"faraz,tobah hai,dara diya lerkey,walykum assalam."
"meri pyari baji,kyon dar rahi hain,meri mehbooba aap ka sach nahi bataye gi."
"itna yaqeen,kyon nahi bataye gi?"
"kyon ke woh sab kuch tor sakhti hai,per waada nahi tor sakhti."
maha ko uski baat pe hansi aa jati hai aur woh kaafi dair tak hansti rehti hai,aur woh apni behan
ko dair tak hansta howa dekhta rehta hai.
"hansti raha kerain baji,achi lagti hain."
usi waqt maha ki hansi ko break lag jatey hain.
"batameez na ho to,waisey aaj dair se kyon aay?"
"emergency case tha,mai fresh hoke ata hoon."
aisa kuch tha us ki awaz mein,jo maha thithak jati hai.
"isey kiya howa."
usi waqt maha ko tayi ji ki awaz aati hai,woh usay bula rahi theen.woh bhagi bhagi jati hai.
seema wahan baithi aik aunty se mukhatib thi,jo unke ghar mein kuch dino se mehmaan ki haisiyat se reh
rahi theen.
"dekhye aunty,aap humari mehmaan hain,to mehmaan hi ban ke rehain,aap ko.."
tayi ji ne usay aagay bolney se rok diya.
"Seema,tameez se baat karo."
"amma,tameez hi se baat ker rahi hoon,ager inki jaga koi aur hota to mai,mounh tor deti us ka."
"seema chup karo,kiya hogaya hai."
maha ne usay rokna chaha.
"chaand tumhay nahi pata,tum abhi aayi ho" aur aunty ki taraf dekh ke kehti hai.
"dekhye aunty,mai bhut aram se aap se keh rahi hoon,ye humarey ghar ka gharelo mamla hai,is liye is mein
dhakal andazi na kerain to behter hai."
phir apni ma se kehti hai.
"amma aap ager baba ko mana ker detin to waleed bhai ghar na chortey,mai aab bhi keh rahi hoon,ager woh
aaj nahi aay to kal bhi nahi aayain gay."
woh aunty jo aab tak khamoshi se baithi theen,ziyada dair khamosh na reh sakin.
"acha!!! to ye lerki manhoos hai,jabhi is ghar ka chiragh abhi tak nahi aaya,wohi to mai soochon."
"aunty zaban sambhal ke baat kerain,ager chaand ke khilaaf aap ne kuch kaha to mujh se bura koi nahi hoga.
seema ka pa'ara aasmaan ko cho gaya tha,is se pheley ke woh aur kuch kehti,baba ki awaz ne sab ko dehla diya.
"seema,ye kiya batameezi hai?aur aap rukhsana begum,apni beti ko khamoshi se ye hungama kertey dekh rahi
hain,aap se zara na howa aik thaper lagayain uth ke,kuch pooch raha hoon mai seema?"
"baba mai ne kuch nahi kiya,mai amma se keh rahi thi keh bhai ager aaj nahi aay to kal bhi nahi aaayain gay,
to aunty ne chaand ko bura bhala kehna shuru ker diya,jo mai berdasht nahi ker sakhti,ye humara personal matter
hai,ager amma aur aap nahi rok sakhtey,to mai ne inhay rook diya,ager ye aab bhi khamosh nahi rahin to mujh
se bura koi nahi hoga."
"seema chalo yahan se,baba aram se,mai isey le jati hoon yahan se,chalo..."
seema ka gussa asmaan se batain ker raha tha,is se pheley ke woh mazeed kuch bolti,maha usay wahan se taqreeban
ghaseet'tey howey le gayi.
"demaagh to kharab nahi hogaya hai tumhara,kis terha baat ker rahi thi tum."
woh usay wahan se kitchen mein le aayi aur khoob suna rahi thi.
"bas,tum acha banti raho,kaisey woh tumhay bura bol rahi theen."
"seema,baat acha ban'ney ki nahi hai,woh mujhay bol rahi theen na,bolney detin tum,kiya farq perta hai,aab woh dosrey gharon mein
ja ke tumhari burayi kerain gi ke rukhsana ki beti aisi hai,waisi hai,is terha rishtey nahi aatey,thora
berdasht kerna seekho."
"kisi ko farq parey na parey,per mujhay farq perta hai,koi tumhay ghalat kahey,koi tumhay bura kahey,
woh mai berdasht nahi ker sakhti,aur rahi baat rishtey ki,to woh lakh dosrey gharon mein
ja ke meri burayi kerain,mujhay perwa nahi,kyon ke mai already mansoob hoon,woh bhi us se jis se mai
mohabat kerti hoon,woh bhi mera saath dein gay,akhir mohabat jo hai,woh dosron ki baton mein nahi aayain gay."
usi waqt faraz us ke sar pe chapat laga ke kehta hai.
"sharam karo apney mangetar ke samney aisi batain ker rahi ho."
"ye kab aay aur tum ne mujhay bataya kyon nahi?"
"mujhay kiya pata ye peechay kharey hoke tumhari batain sunn raha hai."
"baji,jaldi se khana dijye bhook lagi hai."
"haan bas garam ker ke lati hoon."
"aap ko sharam nahi aati,chup chup ke meri baatein suntey hain."
"aab ye dono shuru hogay,pata nahi inka kiya hoga," maha ne faraz ke liye khana garam kertey howey khud se kaha.
"mai sunn thori raha tha,mai to dekh raha tha ke meri zindagi kitna acha bolti hai."
"faraz chalo khana khao."
maha usi waqt aake faraz ko khana deti hai.
"tum bata rehay thay keh koi emergency thi jo late aaye."
maha ne us se poocha,usay tha keh kuch howa zaroor hai hospital mein,jo faraz gumm summ hai.
"wah baji,itna acha pakaya hai,love u baji."
faraz ne aisey kaha jaisey us ne maha ki baat sunni hi nahi.maha usay dekhti reh jati hai.
"seema tum jao jaa ke so jao,mai samait doon gi sab."
"acha."
"tum bhi kuch ker liya karo."
faraz ne seema se kaha.
"faraz kiya hogaya hai,uski perhayi chal rahi hai,mai khud issay kuch kerney nahi deti."
maha ne faraz se kaha.
"sunn liya aap ne." seema ne faraz se kaha.
kaafi dair se maha dekh rahi thi keh faraz seema ko ghoor raha hai,akhir usay tookna para.
"faraz khana khao,kyon ghoor rehay ho?"
"ghoor nahi raha baji,nazer bhar ke dekh raha hoon."
maha usay dekhti reh jati hai aur dil mein kehti hai "kaash...."
"Ay Allah in dino ko dhair sari khushyan ata ferma,in dono ko nazer-e-baad se bacha,in dono ko apni
panah mein rakh Ameen."
"Seema kaafi dair hogayi hai,tum so jao jaa ke."
seema uth ke chali jati hai,saath hi faraz bhi khana kha ke uth jata hai.maha sara saman samait ke aur kitchen
saaf ker ke sehan mein aa jati hai.
****************To Be Continued****************